Monday, 30 September 2019

What is WordPress in Hindi | Full Information

WordPress Kya hai or WordPress ka kaha use hota hai or WordPress par website Kaise banate hai uski jankari aapko iss post me milegi.
Agar aap Blogger hai, Developer hai ya Simple aapka koi Business hai jinki website aapko banana hai to aapko WordPress ke ware me pata hona chaiye, Q ki WordPress ki madad se apni website badi aasani se bana sakte hai.
What is WordPress in Hindi, WordPress kya hai
Table of Contents [hide]
  • What is WordPress in Hindi
  • Type of WordPress
    • 1. WordPress.com
    • 2. WordPress.org
    • Wordress.com v/s WordPress.org
  • WordPress Tutorial in Hindi
    • Domain for WordPress
    • WordPress Hosting
    • WordPress Themes
    • WordPress Plugins
        • What is Wordpress in Hindi | Full Information

What is WordPress in Hindi

WordPress ek Open Source Software hai jo PHP me banaya gaya hai, jisko koi bhi use kar sakte hai, Edit kar sakte hai or iski madad se koi bhi apni website bana sakte hai.
WordPress released May 27, 2003 ko hua tha, jiske founders Matt Mullenweg or Mike Little hai.
World ki total website me se 32% websites WordPress par hai, isse aap andaja laga sakte hai WordPress ki popularity ka.
WordPress par aesa nahi ki sirf ek trha ki website banti ho, jesa bhi aapko design karna hai, jis trha se customize karna hai wo kar sakte hai.
WordPress ki madad se Blog, Website, eCommerce Website, Forum, Social Network, Member sites… kuch bhi bana sakte hai.
Isme jo sabse jada attract karne wali chije hai wo hai WordPress Dashboard or WordPress Plugin,
WordPress Dashboard jiski madad se ham apni puri website ko badi aasani se manage kar pate hai or WordPress Plugin jinko install karke jo bhi hamare jarurat ki functionality hai wo ham website me add kar sakte hai.

Type of WordPress

WordPress ke 2 part hai, WordPress.com or WordPress.org jinpar ham website bana sakte hai.. par dono me antar hai..

1. WordPress.com

agar aapko Free Blog banana hai to aap WordPress.com par Signup karke Blog bana sakte hai.
Isme aapko Blogspot ki trha Free Sub-domain milega (example: hindimehelp.wordpress.com) jisme aap apna domain add kar sakte hai.
Wese WordPress.com Free blog me hame wo sab option nahi milte jo self hosted me milte hai.. agar wo sab chaye to hame wordpress.com ka pro plan lena padta hai.
WordPress.com Blog me ads bhi jab laga sakte hai, jab ham usko pro plan le.. wese agar aapko Hosting or database manage ki tension nahi lena to aap WordPress.com par apna blog bana sakte hai pro Plan leke, uske baad earn bhi kar sakte se sote se.

2. WordPress.org

Agar aapko Self hosted WordPress website banana hai to aapko WordPress.org se Software Download karke apni hosting me Install karna hoga.
WordPress Kaise Install karte hai uski Step by Step mene share kiye hue hai.
WordPress Hosting aap Hostgator se le sakte hai, Self WordPress Install karne ke liye.

Wordress.com v/s WordPress.org

WordPress ke dono platform me kya antar hai wo aap infographic me dekh sakte hai
wordpress comvs wordpress org infographic

WordPress Tutorial in Hindi

WordPress par Website banana or usko manage karna bhut hi aasan hai, Agar apko sikhna hai to WordPress ke Basic se jada sirf 2 din me sikh sakte hai.
WordPress Self-hosted website me kharch kitna aata hai wo aap yaha dekh sakte hai.

Domain for WordPress

Website banane ke liye sabse pehle aapko Domain Register karna hoga.. Aap Badiya Domain select karke usko Register kare.
Domain Discount me kaise kharide uski Tip yaha hai.

WordPress Hosting

Website banane ke liye Hosting ki jarurat padti hai, jispar ham WordPress ko Install karte hai. Hosting Simple sabdo me samje to Online memory jisme ham apni website ki file upload karte hai.
WordPress Website ke liye mene Hostgator or Cloudways use kiye hai or me wahi aapko recommend karuga ki aap yaha se hosting le.
  • Hostgator me WordPress Install karne ki Process
  • Cloudways me WordPress Install karne steps

WordPress Themes

WordPress par website banane ke baad usko badiya Design ke liye acha Theme Install karna bhi jaruri hai.
Aap Agar jada Paise Invest nahi karna chate to aap Starting me Free bhi use kar sakte hai.. or agar aapko badiya Themes use karna hai to aap inn sites se le sakte hai: MyThemeShopThemeForestStudioPressGenesis ThemeHappyThemes
HindiMeHelp.com par jo Theme hai wo Newspaper hai.

WordPress Plugins

WordPress ki Functionality badane ke liye hame jo bhi jarurat hoti hai ham uski plugin install karke kar sakte hai.
Jese agar aapko website me Contact Form banana hai to uske liye plugin hai, Email Subscriber ke liye plugin hai, Design ke liye plugin hai, kehne ka matlab jo bhi hame website me chaiye wo ham plugin install karke add kar sakte hai.
WordPress ki jaruri plugins jo install hona chaiye uski list yaha share kiye hue hai..
At Last: 
To Dost ab aap jaan chuke ho WordPress kya hai, aap WordPress se kya kar sakte ho or kaise WordPress use karte hai..
Agar aapka WordPress se related koi bhi confusion ya Question ho to comment karke jarur bataye.. muje aapki help karne me khusi hogi..