Website Author Box or Comment me Image kaise add karte hai kya aap jante hai, agar nahi to abhi aap jaan jayege..
Abhi ham janege Gravatar kya hai or kaise ye kaam karta hai, or Q Gravatar Set hona jaruri hai..
Agar aapne kisi website par Email or Name daal kar comment kiya hai or waha aapki image nahi aati, matlab aapne Gravatar set nahi kiya hai.. jo ki Branding ke liye bhut jaruri hai.
Table of Contents [hide]
- Gravatar Kya hai
- Check Gravatar
- Gravatar Q Use karna chaiye
- Gravatar Kaise Add kare
Gravatar Kya hai
Gravatar meaning hota hai Globally Recognized Avatar.
Avatar ek image or icon hota hai, jo uss user ko represent karta hai ki wo kon hai. Isse kon person hai wo pehchanne me madad milti hai.
Gravatar Automattic company ki hi Free service hai, jinki WordPress hai.. jisme User na Name, Website, about information hoti hai.
WordPress.com me Gravatar inbuild hai, jisme ham direct Gravatar set kar sakte hai.. uske aalawa Gravatar ki website se bhi set kar sakte hai.
Agar website Gravatar support karta hai, to uspar comment karne par automatic avatar aa jata hai, jo Email me set kiya hai.
WordPress Blog me Author Box ke liye bhi Gravatar me hi Image set hoti hai wahi automatic aa jati hai.
Check Gravatar
Gravatar set hai ya nahi aapke email me wo check karne ke liye aap iss page par jaye, or apna email search kare.
Check Gravatar
Gravatar Q Use karna chaiye
Agar aap ek Blogger, Developer ya User ho to aapko Gravatar set hona hi chaiye, taki aap kisi bhi site par agar comment kare to aapko identity waha show ho or log dekh kar aapko pehchan sake.
Gravatar apni Brand ke liye bhi jaruri hai, Q ki Gravatar dekh kar hi log samaj pate hai ki ye kon hai.
Gravatar set karne se jitni bhi website usko support karti hai waha automatic hamari detail aa jati ha, to war war apne detail or photo add karne ki tension nahi rehti.. or agar kabhi change karna ho to ek jagha change karne se har jagha change ho jata hai.
Gravatar Kaise Add kare
Gravatar Add karna koi muskil kaam nahi hai, agar aapka WordPress.com par account hai to usse simple connect hi karna hai Gravatar.com account ko login karke.
Gravatar account open karne ke baad Image upload kare or Profile setup kare.
Jo image upload karna hai, wo computer se select kare.
Image Upload karne ke baad, jis trha wo dikhai degi wo aap dekh kar usko sahi Crop karke Crop Image button par click kare.
Jo aapki Image hai uski rating set kare, agar usme kuch adult content ho to aapko X select karna hai.. or agar image me kuch bhi galat nahi hai or bache bhi usko dekh sake to Gselect kare.
Gravatar me Image setup karne ke baad, Profile ki baki detail update kare.. apni detail jese About us, website, Contact detail bagera sab add karke save kare.
iss trha aap apna Gravatar set kar sakte hai.. or apni Personal se Brand awareness bada sakte hai.
At Last:
Agar aapka abhi bhi Gravatar se related koi bhi question ho to aap comment karke jarur puche.. or agar aapka Gravatar set hai to bhi comment jarur kare, taki ham bhi dekhe kesa gravatar aapne add karke rakha hai.