Kya aapki website hai, or aap usse paise kamana chate hai.. Ya jitne abhi site se kamane hai usse or Extra Earn karna chate hai bina extra post kare to ye post aapke liye hai.
Abhi me aapko aesa tarika batane wala hu, jiski madad se aap apne website ke jitne bhi normal link hai unko Affiliate Link me badal sakte hai, or agar koi unpar click karke kuch leta hai to aap acha khasa commission earn kar sakte hai.
Affiliate kya hai or usse kaise Earn karte hai wo to aap jante hi hoge..
Affiliate Marketing me kya hota hai, ham jab bhi kisi product ke ware me apne blog me batate hai, to uss product ki normal link dene ki jagha Affiliate link dete hai.. jisse hota ye hai jab bhi koi user uspar click karke product ko lete hai to usse hame commission milta hai.
Bloggers ke liye Best Affiliate Site konsi hai, wo me apni pichli post me share kar hi chuka hu.. aap uspar bhi apna account jarur banaye.
Mene Kuch Blogs dekhe, jinhone bhut acha article bhi likha hota hai or wo Google me rankbhi kar raha hota hai.. par muje ye dekh kar badi herani hoti hai ki unka earning source sirf adsense hota hai.. or unhone jo product ki link hai wo normal di hui hoti hai.
Agar aapka Blog hai, or aap usme kisi bhi Product ya Service ke ware me bata rahe hai, to aapko apna Affiliate link hi dena chaiye, q ki usse aapke user ko koi Nuksan to hone nahi wala, ulta aapko aapki mehnat ka or user ko refer karne ke thoda commission mil jayega.
*Jald hi me Adsense or Affiliate Marketing me kon hai best Earning ke liye uske ware me share karuga.. par abhi wass aap itna samaj lijiye Affiliate Marketing karke aap Adsense se jada paise kam mehnat karke kama sakte hai.
Blogger ke liye Affiliate Marketing me jo sabse bada saardard hota hai wo ye, ki pehle product ki affiliate Program ko join karo, fir uski Affiliate link generate karke Blog me add karo..
to aese me agar bhut sare alag alag site ke product hai jinhe promote karna hai to sabko manage karna thoda muskil padta hai..
par agar me kahu aap ye sirf ek website sekar sakte ho, or sabhi affiliate link ek jagha manage kar sakte ho, to kesa rahega.. 😉
Aap apne Blog ki jitni bhi Normal Outbound link (bahar jane wali link) hai unko automatic Affiliate link me badal sakte hai VigLink ki madad se.
Table of Contents [hide]
- VigLink Affiliate Program kya hai ?
- VigLink Affiliate Link Kaise Add kare ?
- VigLink Automatic Affiliate link ke Fayde
- Automatic Affiliate Link se Website par Paise kamaye [VigLink]
VigLink Affiliate Program kya hai ?
VigLink ek Affiliate Website hai ya u kahe ek Service hai, jiski madad se ham apni website par jo product ki Normal link hai unko automatic Affiliate link me convert kar sakte hai.
uske baad agar koi bhi user hamare Uss link par click karke product ko kharidta hai to uska commission hame milta hai.
VigLink Affiliate Link Kaise Add kare ?
Viglink ko use karne ke liye hame Viglink account bana kar uska Code apni website me add karna hota hai.. jiske baad sabhi Normal outbound link automatic Affiliate link me badal jate hai.
Viglink account banane ke liye yaha jaye.
VigLink
Ab aapko Signup karna hai, aap Simple Email se ya Direct Google se Signup karke account bana sakte hai..
Account banane ke baad aapko, apni account se related sabhi detail update karna hai..
Aapko Viglink account me ek Code milega, jinko aapko apni Website ke </body> tags me add karna hai.
*Agar aap WordPress use karte hai to Viglink ki plugin bhi use kar sakte hai.
VigLink Automatic Affiliate link ke Fayde
Wese to aap samaj hi gaye hoge, Viglink use karne ka sabse bada fayda kya hai.. hamare Blog par jitni bhi normal link hai wo affiliate links me bada jati hai.. or unn link se user ke kuh kharidne par hame commission milta hai.
VigLink use karne ke ye fayde hai:
- SEO friendly hai, Google me ye Affiliate link Index nahi hoti.
- Bina jhanjat ke Affiliate link add kar sakte hai.
- Use karna bhi bhut aasan hai, sirf ek code ko Add karna hota hai.
- Payment Paypal par time par mil jata hai.
- Blog, Website, Forum kahi bhi use kar sakte hai.
- Adsense Policy ka ulaghan nahi hota, bhale wo bhi sath me us kare.
- 30k Merchants hai Viglink me
- Instant Account Approve ho jata hai.
To ab aap soch kya rahe hai, Agar aapka Blog hai jinpar aapne product ke link de rakhe hai, to jaiye or Viglink add kariye apne Blog me taki jo normal links hai wo Affiliate link me badal jaye.. or aapki Blog se Eatra earning ho sake.
At Last:
Website se Earning karne ke liye Affiliate Marketing Best hai ye to aap pehle se jante hoge, par ab aap ye bhi jaan chuke ho kaise automatic affiliate Link Blog me add kare..
To ab aap muje Comment karke ye jarur bataye, aapko ye jankari kesi lagi or kya aap apne Affiliate Blog me isko use karege?