Hello friends, aaj is post me hum wordpress me wishing website with name banana shikhenge. ye websites abhi trending me chal rahi hai.
wish website banana aasan hai. Ye website kuchh hi times me popular ho jati hai. Apko whatsapp me is prakar ke wishing massage jarur kabhi na kabhi aaye honge. In par wishing massage ke sath ek link di hoti hai.
Wish Website kaise Banaye uske ware me HMH.pe post hai, jisme Blogger par Wish websitebanane ke ware me bataya hai, par uski limitation ye hai ki ham apne naam se Wish share nahi kar sakte, jo ham PHP website se kar sakte hai.
In websites me ad lagakar bahut sara paisa kama sakte hai. Maine khud happy new year wishing website se 500$ kamaye the.
Is article me hum ek wishing website script denge jo php me hai. Is script ki khas bat ye hai isme link address wisher ke name ke sath banati hai aur us link me click karne par wisher ka name bhi show hota hai.
See here – Demo
Is prakar ki website abhi tak khas developer hi bana pate the but aaj hum aisa aasan tarika bat ayenge jisse asani se wishing website with name crate kar lenge.
Table of Contents [hide]
- Wishing Website Script With Name WordPress Me Kaise Banaye
- Step 1: Domain Register Kare
- Step 2: Hosting Register kare
- Hosting aur Domain ko connect karne ke bad ab ye steps follow kare
- Wish Website Script with Name kaise banaye [26 January 2019]
Wishing Website Script With Name WordPress Me Kaise Banaye
Mai apko ye website banana two steps me bataunga. Ydi apki website pahile se wordpress me hai ya domain + cpanel hai to apko sirf step 2 follow karna hai.
ydi domain aur cpanel account nhi hai to dono steps follow kare. Ye dono steps me hum free domain aur free hosting se website banana dekhege.
apko cpanel ke bare me utni knowledge nhi hai to pahile free cpanel aur free domain me hi experiment kare.
Chaliye step wise hume follow kare:
Step 1: Domain Register Kare
1. Sabse pahile freedom ki official website me jaye. Usme find a domain ka option milega usme apna domain name dale aur check availability me click kare.
Ab apke samane ek window open hoga jisme kai free domain like .tk , .ml dikhai denge unme se kisi ek ko choose kar le. Jo choose karenge uske samane get it now likha hoga usme click kar de. Aur iske bad checkout me click kar de.
.tk ke aalawa other free domain hi select kare kyoki jo hum free hosting batayenge usme .tk ko spammer mana jata hai.
*Agar aapko .com ya .in Domain lena hai to aap Godaddy ya Namecheap se le sakte hai.
2 – iske bad 12 month periods choose karke continue me click kar de. Iske bad email dalane ka option aayega use dal de. Iske bad ek mail aayega jisme sari details puchhi jayegi use fill kar de aur login kar le.
3. Ab apke samane dashboard hoga jisme sabse neeche my domains ka menu hoga. Usme click kare. Aur iske bad manage domain me click kare. Ye option domain address ke right side me mil jayega.
4. Ab name server ke option me jaye aur name server me hosting ka name server dalna hai.
Ye hosting se milega yani is window ko minimize karke chhod de.
Step 2: Hosting Register kare
Ab Infinite Free ki website me jaye aur sign up kare. Aur wha par free hosting me register kare aur domain add kare. Usme domain add karte samay do nameserver diye jayenge use first step wali website me add kar de.
Dosto post lambi ho rhi hai so mai iske bare me pura nhi bata rha hu so ydi problem ho isme comment karke puchha le. Waise iske bare me internet me jankari mil jayegi.
Hosting aur Domain ko connect karne ke bad ab ye steps follow kare
1. Ab apne c panel me login kare aur file manager me jaye. Infinite free me online file manager likha hoga.
2. Iske bad kuchh files open hogi jisme se htdocs me jaye. Isi under puri script upload karni hai. Iske pahile esfile explorer se zip file ko extract kar lena kyoki is panel me extract ka option nhi hai. Wish script hum neeche de denge use download kar lena.
3. Isme ek bat ka jarur dena ki isme koi bhi file banani hai to new dir me click karke file name de dena. Script me jis prakar file attached hogi usi prakar C panel me upload karni hai.
Jaise img wale folder me kai file hai. To pahile img name ki dir crate karenge aur fir usme image upload karenge. Aur koi file upload karte time two bar sahi ke arrow me click kare jisse file cpanel me upload ho jayegi.
4. Isi prakar img ke under republic aur float dir crate kare aur wha jo image script me hai use upload kare.
5. index.php aur wish.php ko direct htdocs folder me upload kar de. Aur baki file jo bachi hai unke dir crate karke upload kar de.
Note: jaisi script me file upload hai usi prakar htdocs me upload karni hai. Ye kaise file attach hai use es file explorer se dekh sakte hai ya file upload karte time uska serial dekh sakte hai. Kyoki script ke according hi index.html me link bani hai. Jab shi prakar se file upload hogi tabhi website script work karegi.
Yhi process others hosting me bhi karna hai.
At last apne wish website with name wordpress or cpanel me crate kar li hogi. Fir bhi koi sawal hai to comment me puchh sakte hai. Ydi problem aayegi to hum iska video bhi apko de denge.
Wish Website With Name ki Script aap yaha se Download kar sakte hai:
Download – Happy Republic day wishing script
Jnkari kesi lagi comment karke jarur bataye, or koi bhi paresani ho to ham aapki Help ke liye hajir hai:)