Study complete karne ke baad achi Companies me Job karne ka sapna har kisi ka hota hai, or aese me agar Baat kare Google ki to bhut logo ki ye Dream Job hai..
Wese to Google me Job Milna itna aasan nahi hai, par agar aapme Talent hai to aapke liye itna muskil bhi nahi..
To chaliye Jante hai agar Google me Job karna hai to uske liye Apply kaise kare or kaise Job ke liye selection hoti hai or kya uski puri process hai.
Google Job ke liye Apply or Nokri Milne ki Process
Agar aapko Google me Job karna hai to sabse pehli baat to ye ki aap uske layak ho or dusri baad ye ki jis post ke liye aap Job karna chate hai uske liye Google me Job uplabd ho.
Google me Job karne ke liye IIT, NIT ya kisi top university se study karna jaruri nahi, agar aapme Talent hai to aapko badi aasani se Job mil jayegi.. Iska Example hai Mumbai ka ek Ladka jo kisi Normal College se Engineering ki jinko Google ki taraf se 1.2 Crore ka Package mila.
Google me Nokri pane ke liye in Steps ko flow kare
Step 1: Google me Job pane ka soch rahe hai to sabse pehle to Google me Dekhe konse konse job abhi upland hai or unki kya requirement hai.. jiske baad jo bhi aapke liye suitable Job ho uske liye aap Apply kar sakte hai.
Google me Jobs Search karne ke liye aap yaha jaye, or jo bhi aapke liye sahi suitable ho usko search kare.
Job Search in Google
Step 2: Job search karne ke baad, agar aapko aapke layak koi Job mil jaye to aap uske according apna Resume banaye.
Ek badiya Resume kaise banaye Google me Job ke liye uski Help ke liye Google ne Video bhi banaya hai.. aap usse Tips se sakte hai.
Inn Tips ka use karke aap Apna Resume bana sakte hai..
Step 3: Job Resume Ready hojaye wo Google me submit karna hai.
Submit karne ke liye Google ne uska Form de rakha hai.. yaha dhiyan rakhe, jitne sahi tarike se aap apni detail or resume submit karege utne hi jada chance hai ki google ki taraf se aapko jaldi respond aaye.
Dhiyan rakhe aap ek mahine me 3 se jada war apply nahi kar sakte.. isliye kosis kare sahi tarike se ek hi war me apply kare.
Step 4: Google ki team aapki application ko review karege, fir agar unko laga to wo aapse contact karege.. fir call ya Video Chat ki meeting fix ki jayegi.
Call par Google ki taraf se aapke ware me or jada jana jayega, aap kya karte ho, Aapka Interest kisme jada hai, Google me aap q join karna chate ho or jin chij ke liye Google me aapne apply kiya hai uske liye aap kya maine rakhte ho..
Iss trha aapse Call par baat karne ke baad agar Google Team ko laga ki aapko ek step aage badaya jaye to fir aapko Interview ke liye Invite kiya jayega.
Step 5: Google me Interview ke liye bhi kuch tips or guidelines di hai.. jiski madad se ham Google Interview ki teyari kar sakte hai.
Google ke Interview ki tayari karne ke liye Google ne kuch Tips bhi di hai wo bhi dekh sakte hai.
Interview ki teyari aapko tikh se karni hogi..
Google me Job ke liye jo Interview 45 minutes ka hota hai.. jisme ek Question iss trha ka hota hai jisme 30 minutes tak lag sakte hai..
Google Interview ke liye jaruri bate:
- Aapne jo bhi Question puche jaye wo confident se jabab dena hai.. Q ki wo ye check karege ki aap bolne me or problems ko handle karne ke kitne layak hai.
- Aapko Desh Duniya ki jankari honi chiaye ki kaha kya chal raha hai.
- Aap Google me Job karege par aapme ek Leadership ki quality honi chaiye, taki kabhi bhi project me aap kaam karo to aap apna contribution usme do.. ye nahi ki sirf orders follow karo.
- Dusro se kaise Behwar banate ho or dusro ke liye aapki kis trha ki soch hai wo bhi check ki jayegi.
- Kisi bhi chij ko kitne emandari se karte ho wo bhi aapki bato se samajne ki kosis ki jayegi..
Iss trha ki bhut si bate wo samaj lege aapse 45 minutes ke interview me, uske baad agar unko lagega ki aap Job ke layak hai to wo aapki puri detail unke High authority ko transfer kar dege.
Last me agar aapki sabhi chije dekhne ke baad agar unhe laga ki aap Uss Job ke liye best ho to aapko Job ka Package offer kar diya jayega jo Normally 0.5 to 1.5 Crore ka hota hai.
Google Kaise Hire karta hai or ache se samajne ke liye aap niche diya video bhi dekh sakte hai.
At Last:
Ab aap jaan chuke hai Google me agar Job karna hai to uske liye kya jaruri hai or Kis trha Google me Job ke liye Apply kare or kaise Google me Job milti hai.. To agar aap Google me Job ke liye Apply karne ja rahe hai to Best Of Luck..
Agar aap India se hai to aapko ye bhi pata hona chaiye Google ke India me kaha kaha Office hai.