Hello Blogger, Aaj ka Article Specially unn Bloggers ke liye hai jo apne Blog par Mobile se jada Traffic lana chate hai. Q ki abhi me aapko bataoga kaise Voice Search Friendly Article likhe taki agar koi Google par bol kar search kare to hamari post rank kar sake.
Agar aapko Blogging karte hue time ho gaya hai to aapko pata hi hoga ki Google me bhut se Updates aate rehte hai, jiske chalte agar hame apni website ko Top par rakhna hai to ye bhut jaruri hai ki ham apni site ko unke according rakhe.
Google ke 7 bade Updates ke ware me to aapko pata hi hoga Jisme Mobile Friendly website, Fast Loading sabse Important hai..
Ab baat kare aane wale Time ki to ye to aap jante hi hoge, jitne bhi log Mobile use karte hai wo Type karne ki jagha Bol kar search karna jada pasand karte hai..
Google ki Research me pata chala hai ki user Google par pehle ke mukable Mobile par Bol kar jada search karte hai or aane wale time me ye aakda 50% se upar phuch jayega..
To agar aap chate hai ki agar koi kuch Bol kar search kare to aapki site search me aaye to aapko Voice Search Friendly content likhna hoga.. uske liye aapko kya karna hai or kaise karna hai chaliye jante hai.
Table of Contents [hide]
- Voice Friendly Article Kaise likhe
- 1: Bolne Wali Tone ka use kare
- 2: Question-Answer Based Article likhe
- 3: Mobile Friendly Design hona jaruri hai
- 4: Local SEO ka bhi dhiyan rakhe
- 5: Snippt-Rich Content likhe
- 6: Long Tail Keywords ka use kare
Voice Friendly Article Kaise likhe
Test Search or Voice Search me aesa koi fark nahi hai ki hame apni website me kuch setting karni pade.. wass kuch bate hai jinka hame dhiyan rakhna hai taki koi Bol kar search kare to bhi hamara article search me aa sake.
1: Bolne Wali Tone ka use kare
Agar aapko Voice Search Friendly article likhna hai to ye sabse jada jaruri hai ki aap apni Post ka Title uss trha se likhe jese koi usske ware me bol kar puche..
Jese Example:
- Muje Website Banana sikhna hai.
- Me Online Paise kaise kamao
- Online IPL kaise Dekhu
- Whatsapp se Paise kamane ke tarike batao.
2: Question-Answer Based Article likhe
Aap jo bhi article likh rahe hai, unme jitne bhi Points hai unko Sabal Jabab ke form me likhe, taki agar koi uss topic ke andar ka bhi search kare wo Post search me show ho.
Isme aap Post ko aese likh sakte hai, jese Simple koi Bol kar kuch Question aapse puch rahe ho fir aap usko Bol kar jabab de rahe hai.
Example:
Que: Muje Whatsapp se Paise kamane ke tarike batao?
Ans: Me aapko bataoga Whatsapp se Paise kamane ke kitne tarike hai..
3: Mobile Friendly Design hona jaruri hai
Voice Search ke liye Website ka Mobile Friendly hona bhut jaruri hai, q ki jo Voice Search hai wo 98% Mobile se hi kiya jata hai..
Mobile Friendly Top Ranking Factor me se ek hai ye to aapko pata hi hoga, to aap iss baat ko jarur check kare ki aapki website Mobile me ache se open hoti hai ke nahi.
Aap yaha check kar sakte hai, ki aapki website Mobile Friendly hai ke nahi..
4: Local SEO ka bhi dhiyan rakhe
Agar aapki website target audience ke liye hai to Local SEO ka use karna bhi bhut jaruri hai..
Jese Example website aapke kisi restaurant ke ware me hai.. to agar koi uss ware me agar bol kar search kare: Mere Pass ki Achi restaurants konsa hai. To agar aap iss ware me article likhege jisme aap iss trha ka title de, to aapka article aasani se top par aa jayega.
5: Snippt-Rich Content likhe
Search Snippt kya hai wo to aap jante hi hoge, jo Google par kuch search karne par wahi Box me uska answer dikh jata hai, or pura read karna hota hai to user uspar click karte hai..
Agar Hamare article ki search Snippt show ho rahi hai, matlab Google usko ache se samaj pa raha hai, to aese me chance bhut badh jate hai ki agar koi Bol kar search kare to usko hamari hi site dikhaye.
Search Snippt Content ke liye jaruri hai, Chote chote paragraph me post ko likhe or usme sahi Heading or Sub Headings de, jisse Article ko aasani se scan kiya ja sake or samja ja sake usme kya kya jankari uplabd hai.
6: Long Tail Keywords ka use kare
Voice Search ke liye Long Tail Keywords ka use karna bhi jaruri hai, Q ki ye to aap jante ho hoge, likhne me bhale thoda sa likh kar search karle.. par bol kar search karne par user pura detail me bol kar search karte hai..
Jese Example: Muje Mobile se Website banane ka Tarika Janna hai.
At Last:
Ab aap jaan chuke hai, agar aapko apni Website ko Voice Search Friendly banana hai to uske liye aapko kya karna hai or aap ye to samaj hi gaye hoge ki iske kya fayde hai.
Agar aapka Voice Search se related koi bhi sabal ho to aap comment karke puch sakte hai. or aapko kya lagta hai Voice Search ka kya Future rehne wala hai wo bhi jarur bataye.