Hello Youtuber, Agar aapki Youtube channel hai to aap ye to jarur chate hoge ki aap jo bhi Video Youtube par dale wo jada se jada log dekhe.. uske Liye Aapko Youtube SEO karna hoga, or sahi tarike se Youtube SEO karne me ek Tool aapki madad kar sakte hai uske ware me ham abhi janege.
Youtube par Video kaise Upload karte hai or kaise Video ki setting karte hai ye to aap jante hi hoge, or agar nahi jante to uski jankari bhi aapko HMH.pe mil jayegi.
Table of Contents [hide]
- Youtube par Jada Video Kaise Laye
- Youtube Video ke Tags Kaise Dekhe
- 1. Youtube Source Code se Video Tags kaise dekhe
- 2. TubeBuddy se Video Tags dekhe
- Youtube Video Tags Trick
- Youtube Vieo Tags Kis trha use kare
Youtube par Jada Video Kaise Laye
Har ek Youtuber ka sirf ek hi sapna hota hai Jada se jada views or Subscriber.. or wo har ek kosis karte hai inko lane ki..
Jo sabse Best tarika hai Video ko jada se jada logo tak phuchaneka wo ye ki jitne bhi Popular or Trending Video hai, unke Video me jo Tags use kiye gaye hai wahi aap apne video me use kare, taki aapka Video unke video ke suggestion me aaye or iss trha aapke video par bhi Views aaye.
Par ab aap soch rahe hoge Dusro ke Video ke Tags Kaise Dekhe, to aap tension mat lijiye.. abhi ham jis tool ke ware me janne wale hai uski madad se badi aasani se ham kisi bhi video ke Tags Dekh sakte hai unko copy kar sakte hai.
Youtube Video ke Tags Kaise Dekhe
Youtube Video ke Tag dekhne ke bhut tarike hai, Kuch Tools ki madad se aasani se dekh sakte hai or khud se source Code dekh kar bhi Video ke Tags dekh sakte hai. ham dono tarike dekhege.
1. Youtube Source Code se Video Tags kaise dekhe
Kisi bhi Video ke Tags Source Code se dekhne ke liye sabse phele Video ko Youtube par open kare.
Video Open hone ke baad Source Code dekhne ke liye Mouse right Click karke View page Source par click kare (Ctrl+U bhi dawa sakte hai.).
Source Code open hone ke baad, Keywords search kare.
Search karne ke liye Ctrl+F dawaye, uske baad keywords type kare. Source Code me jaha bhi kewords likha hoga waha highlight ho jayega.
Jaha Keywords highlight hoga uske aage aap Video ke Tags dekh sakte hai, jo niche image me mene highlight kiye hue hai.
2. TubeBuddy se Video Tags dekhe
TubeBuddy Youtube Video SEO ke liye sabse best tool hai, jo ki ek Browser extension hai.. jiski madad se youtube se related bhut sa data dekh sakte hai kisi bhi video or Channel ka..
Tubebuddy Extension Chrome or FireFox Browser me install karna hai.
Install TubeBuddy
Install karne ke baad jis bhi Video ke Tags aapko dekhna hai wo aap Video ke side me dekh sakte hai, Video se related information TubeBuddy box dikhai deti hai.
Aap Screen shot me dekh sakte hai, Video ke Tags dikh rahe hai, uske aalawa video se related bhut si information bhi dikhai deti hai.
*TubeBuddy Free Extension hai, par uske kuch Pro feature bhi hai.. me Pro Plan use karta hu, Full Paisa wasul Tool hai.
To ab aap Tags kaise dekhna hai wo to jaan chuke ho, chaliye ab jante hai Tags ka sahi use kaise karna hai.
Youtube Video Tags Trick
Youtube par kis trha ke Video upload kar sakte hai, ye aap jante hoge.. mene apni pichli post me bataya bhi tha..
Agar aapko Youtube par success hona hai to sabse pehle jaruri hai aap High Quality Videobanaye, par kaam sirf video banane or upload karne se khatam nahi hota..
Video Upload karne ke baad uska Title or Description to aapko sahi likhna hi hai, or Tags me aapko kis trha ke tags dalne hai wo me abhi aapse share kar raha hu.
Youtube Vieo Tags Kis trha use kare
- Jo trending Video hai aapke Video se related, uske jo main Tags hai wo dale.. Tags kaise dekhna hai wo aap jaan hi chuke hai.
- Video ka jo main keyword hai wo tags me dale
- Apni Brand ke liye apna Channel ka Name tag me dale.
- Jo Topic hai Video ka usse related high Search Keywords bhi dale.
Note: Kisi bhi apne Video me Dusre kisi bhi ek Video ke sabhi Tags copy karke naa dale, usse Youtube aapke video ko spam bhi samaj sakta hai.
Agar aap jo popular Video hai, unke tags apne video me use karege, or agar aapka video bhi acha hai to Video ke suggestion me aane ke chance bhut badh jate hai.. isliye tags ko sahi research karke hi use kare.
At Last:
Muje Ummid hai ab aap samaj gaye hoge, Youtube Video ko Rank karane ke liye tags ka kaise use karna hai or kaise dusre Video ke tags dekhe… fir bhi agar aapka koi sabal ho Youtube Tags se related to aap comment karke puch sakte hai.