YouTube par videos dekhne ka silsila badhta hi jaa rha hai kisi movie ka trailer dekhna ho to turant YouTube par search karte hai, Padhai me kuch samjh nahi aye to Tutorial dekh liya aur ispe posted DIY ke to sabhi fan hai. YouTube ka har ek part bahut hi simplicity se develop kiya gaya hai par isme bhi kuch hidden features aur tricks hai jo har koi nahi janta, Un Tricks or future ki madad se ham Youtube ko or achhi trha use kar sakte hai.
Also Read: Youtube ke Basic Sabalo ke Jabab
Table of Contents [hide]
- YouTube ke kuch Tip or Tricks jo sayad aapko abhi tak naa pata ho..
- #1 Youtube Player Keyboard shortcuts
- #2 Video download kaise kare
- #3 Download Youtube Video Thumbnail
- #4 Youtube videos se Animated GIF kaise banae?
- #5 Mix N Match
- #6 kisi bhi topic par Video kaise Search kare
- #7 Autoplay ko disable kare
YouTube ke kuch Tip or Tricks jo sayad aapko abhi tak naa pata ho..
#1 Youtube Player Keyboard shortcuts
Youtube par Video dekh sakte hai ye to batane ki jarurat nahi, par kya aapko pata hai jo Youtube Video player hai usko bina Mouse ke bhi operate(chalaya) kiya ja sakta hai. Player ko control karne ke liye kuch keyword short hai –
M = Video ko mute karne ke liye.
K / Spacebar = Pause/play karne ke liye.
L = 10 seconds video ko Fast forward karne ke liye
J = 10 second video ko rewind karne ke liye.
Arrow keys ⬆ ⬇ ➡ ⬅ = In keys se aap 4-5 second aage ya peeche apni video ko kar sakte hai.
Also Read: Youtube Player ko website me kaise add kare
#2 Video download kaise kare
Ho sakta hai ki YouTube par video dekhte samay aapke man me bhi ayah ki is video ko download kar liya jaye taki baad me bhi dekh sake bina net ke par aapko download ka option na mila ho. to isme Tesion lene ki koi baat nahi hai YouTube Video asani se download kar sakte hai wo bhi bina kisi software ki madad se.
Download karne ke liye bas karna ye hai ki jo Video ki link hai –
https://www.youtube.com /watch?v=FZLDoF7VfaQ
isme starting ka https://www. hata kar ss type karke Enter karna hai.. fir jo site khulegi usse Video download kar sakte hai.. Iski or jankari Detail me yaha par di hui hai.
#3 Download Youtube Video Thumbnail
Bhut war hota hai ki hame kisi video ki thumbnail ki jararat padti hai, to aap simple tool ki madad se kisi bhi youtube video ki thumbnail HD me download kar sakte hai.
aap thumbnail.hindimehelp.com par jaye or video ka URL dale, uske baad automatic sabhi size me video ki thumbnail aa jayegi.
#4 Youtube videos se Animated GIF kaise banae?
Gifs site ka istemaal karke aap YouTube video ke kisi bhi section ko animated GIF me convert kar sakte hai. Ise aur ache se samjhane ke liye in steps ko follow kare:
Step 1. Aap YouTube open kar ke apni pasand ki kisi bhi video ko khole jise aap GIf me change karna chahte hai. Video ko open karne ke baad aapko uska URL kuch is trha milega –
https://www.youtube.com /watch?v=FZLDoF7VfaQ
isme ko youtube likha hai usko hata kar gifs likh de is trha
https://www.gifs.com /watch?v=FZLDoF7VfaQ
Gifs karne ke baad Enter kare to aap dusri site par phuch jayege.
Step 2. AbGifs.com site open ho jayege.. or jo aapka Video hoga wo bhi aa jayega.
- ab aap jitne hisse ki Gif image banana chate hai usko select kare.
- or Create Gif button par click kare.
#5 Mix N Match
Agar aap khud apne remix songs banana chahte hai toh ye trick apke bahut kaam aa sakti hai. DragonTape ek aisi site hai jo ki aapko kisi bhi YouTube video ko remix karne ki ijazat deta hai aur woh bhi asaan drag and drop karke hi.
Ye bhi jane: Apne Naam ki RingTone kaha se Download kare
#6 kisi bhi topic par Video kaise Search kare
Agar aapko kisi Popular logo ke Video dekhna ho to aap # laga kar search kar sakte hai.. For example agar aap #APJAbdulKalam search karege to aesi channel aayegi.. ye Channel kisi ne banai nahi hai, Youtube automatic hi create kardeta hai.
Also Read: Youtube Video ke Video kaise badaye [5 tips]
#7 Autoplay ko disable kare
Agar aap Youtube Par Video dekhte hai to aapne dekha hoga ki jese hi video khatam hota hai uske baad dusra video automatic start ho jata hai.. Agar aap usko band karna chate hai to Video ke balag me autoplay ka option dikhega.. usko Off karde.
Friends ye kuch basic Tips hai, inke aalawa bhi bhut se tips hai jo me aage aapse share karuga.. or agar aapke pass koi aesi tips hai to aap mujse jarur share kare..
Youtube ki or jankari ke liye yaha click kare
Ye bhi pade:
- Youtube par multi Channel kaise banaye
- Youtube ke Liye Quality Video kaise banaye
- Youtube se paise kaise kamaye uski jankari