Monday, 30 September 2019

Top 13 Best App For Youtube, Jo har Youtuber ke Mobile me hone chaiye

Kya aap ek Youtuber hai or Aapki Youtube par Channel hai? Agar haa, to ye Best App for Youtube aapke bhut kaam aane wale hai..
Youtube jiske ware me aaj har wo insan janta hai jo Internet chalana janta hai, or Youtube bhut logo ka to Paise kamane ka main source hai, jisse bhut log acha khasa paisa bhi kama rahe hai.
To agar aap bhi Youtube me apna career banane ka soch rahe hai or chate hai ki aapki Youtube channel grow ho, to abhi jitne bhi Apps ke ware me me batane wala hu wo aapke bhut kaam aane wale hai, or aap inn Apps ki madad se Mobile se hi Youtube channel ko manage kar sakte hai.
Blogger ke liye Jaruri Apps ki List bhi HMH.pe Share ki hui hai wo bhi jarur dekhe, agar aapki website hai to..
Top 13 Best App For Youtube, Jo har Youtuber ke Mobile me hone chaiye
Table of Contents [hide]
  • Best App for Youtube | Youtuber ke Mobile me hona chaiye Ye App
    • 01: PixelLab | App for Youtube Thumbnail
    • 02: Canva | App for Youtube Poster, Banner
    • 03: YouTube Studio App for Youtube Channel
    • 04: LEGEND | App for Youtube Intro Video
    • 05: Evernote | App for Youtube Notes
    • 06: Pocket | App For Reading
    • 07: Google AdSense | App for Youtube Earning
    • 08: DU Screen Recorder | Best Mobile Screen Recorder App
    • 09: Pixabay | App for Free Images
    • 10: Easy Voice Recorder | App for Audio Recording
    • 11: Open Camera | Best App for Youtube Video Recording
    • 12: Vlogit | Best App for Youtube Video Editing
    • 13: TubeBuddy | Best App for Youtube SEO

Best App for Youtube | Youtuber ke Mobile me hona chaiye Ye App

01: PixelLab | App for Youtube Thumbnail

Pixellab ka use karke app bahut badhiya thumbnail bana sakte hai apne youtube ke videos ke liye.
Is app mai aap text ko bhi bahut accche se customize kar sakte hai. isme aap logo bhi bana sakte hai aur png mai export bhi kar sakte hai. Pixellab mai aap apne thumbnail ko highest resolution mai bhi export kar sakte hai jo dusre app mai apko aisa option nahi milta.
PixelLab

02: Canva | App for Youtube Poster, Banner

Canva mai bhi aap thumbnail ,banner ,poster bana sakte hai. agar apke paas jyada samay nahi hai to aap is app ka use karke 1-2 minute mai acche se apni poster, banner vagera bana sakte hai.
Canva app mai apko ready mate temples mil jate hai jo sabse acchi baat hai.
Canva

03: YouTube Studio App for Youtube Channel

YouTube Studio App Google ka Official App hai jiski madad se ham Mobile par apni Youtube Channel ko manage kar sakte hai.
Youtube Studio App se ham, Youtube Analytics dekh sakte hai, Comment ka Reply kar sakte hai, Video ki setting kar sakte hai.
Agar aap Youtuber hai to ye to khene ki jarurat hi nahi ki isko bhi Aap abhi Download kare.
YouTube Studio App

04: LEGEND | App for Youtube Intro Video

Kisi bhi Youtube channel ki branding ke liye uska ek acha Intro hona bhut jaruri hai.. to agar aap Mobile se Intro banana chate hai to Legend ek best App hai..
Ye App aapko Playstore par nahi milega.. aap iski APK google par search karke Download kar sakte hai.

05: Evernote | App for Youtube Notes

Evernote app me ham Notes or list bana kar save karke rakh sakte hai. To aap Youtube se judi jo bhi jankari hai, jese Video Ideas..
Evernote ki ek or jo sabse khas baat hai wo ye, ki iska Windows App bhi hai, or website se bhi access kar sakte hai.. Matlab ek jagha Save karke usko kahi se bhi access kar sakte hai apne kisi bhi Device me.
Evernote

06: Pocket | App For Reading

Youtube par agar work karna hai or Success hona hai to uske liye jaruri hai, jo bhi hamari Youtube channel ka Topic hai usse Up-to-Date rahe.. to uske liye jitne bhi useful websites hai unke Article read karte rhena hoga..
Pocket App ki madad se kisi bhi article ko save karke Read kar sakte hai simple interfave me, or ham Uss article ko Audio me bhi sunn sakte hai.
Pocket

07: Google AdSense | App for Youtube Earning

Google Adsense bhi Google ka Official App hai, jisme ham apne Adsense ki earning ko track kar sakte hai..
To agar aapki Youtube Channel Monetize hai, or aap Adsense se earn karte hai youtube par to ye app bhi aap apne mobile me install kar lijiye, taki aasani se earning dekh sake.
Isme ham Adsese ki puri detal dekh sakte hai, jese CPC, CTR Earning, Impression etc..
Google AdSense

08: DU Screen Recorder | Best Mobile Screen Recorder App

Youtube Channel hai to Mobile Screen Recording ki jarurat to padti hi hogi, to Aap DU Screen Recorder ka use kar sakte hai jo bilkul free hai or iske liye Mobile Root karne ki bhi jarurat nahi hai.
Agar aapki Channel Mobile se related Tutorial ke upar hai, to DU Recorder ko abhi Install kar hi lijiye, muje thanks baad me khe dena 😉
DU Screen Recorder

09: Pixabay | App for Free Images

Video ke liye High Quality Stock Image ki jarurat to padti hi hai, par Google se Image Download karke use karna thoda risky ho sakta hai.. or aese me koi Video par Clam bhi kar sakte hai.
Mobile Me Stock Free Image ke liye aap Pixabay App ka use kar sakte hai. iski website bhi hai jo Top Free Stock Images Website me aati hai.
Pixabay

10: Easy Voice Recorder | App for Audio Recording

Youtube Par Video banane ke liye audio ka to sabse main hai, q ki agar Audio achi nahi hai or usme bhut jada sor saraba hoga to koi Video dekhna pasand nahi karta.
Easy Voice Recorder Add ki madad se Audio Record kar sakte hai or Audio ko isko edit karke uski Quality bhi badha sakte hai.
Easy Voice Recorder

11: Open Camera | Best App for Youtube Video Recording

Mobile se Video Record karrne ke liye Default camera to hota hi hai, par usme utne option nahi hote jitne ek acha Video Shot karne ke liye chaiye.
To agar aap Mobile se Video banate hai to Open Camera App sabse best hai uss kaam ke liye.. Isme aap Focus set kar sakte hai, Mobile teda to set nahi hua wo dekh sakte hai. Kitne Frame rate se Video shot karna hai wo set kar sakte hai..
Open Camera

12: Vlogit | Best App for Youtube Video Editing

Mobile se Video Edit karne ke liye App to bhut sare hai, par usko kharidna padta hai, nahi to unme watermark aata hai.. Vlogit editing apps for youtube free or isme bhut se filter or Effect hai jo ek badiya Video banane ke liye jaruri hote hai.
Vlogit

13: TubeBuddy | Best App for Youtube SEO

Youtube par Video ko agar search me lana hai to Youtube SEO karna bhut jaruri hai, jisme Title Tags ko sahi se dalna hota hai.
TubeBuddy Android App ki madad se ham kisi bhi Video ke Tags dekh sakte hai, or uske according Tags use karke Video Rank kara sakte hai.
TubeBuddy Browser Extension bhi hai, jinki madad se Youtube me bhut help milti hai.. agar aapke Browser me install nahi hai to abhi kar lijiye.
TubeBuddy APP
TubeBuddy App Features:
* Live Subscriber Count
* Keyword Research
– Suggested Tags
– Tag Explorer
– Tag Rankings
* Comment Moderation
– Canned Responses
– Comment Filters
– Commenter’s Subscriber Count
* Channel Milestones
– Download to your Photos Library
– Share on Social Networks
* Video Management & Optimizaiton
– Engagement Stats
– SEO Stats
* Industry News
* Track Video Topics
* Create and manage Tag Lists
At Last: 
To ab aap jaan chuke hai Best Apps for Youtube konse hai or unka kya use hai.. To Agar aap ek Youtuber hai to inko Install kar hi lijiye.. or agar inke aalawa koi Useful App list me reh gaya ho to comment karke jarur bataye.
Iss Useful List ko apne Youtuber Friends se bhi jarur share kare.. or aapko ye jankari kesi lagi comment karke jarur bataye..
Happy Youtubing …!