Monday, 30 September 2019

YouTube Channel Custom URL Kaise Set Kare

Youtube par Account kaise banaye or kis trha usse psise kama sakte hai inke bare me phele hi jaan chuka hai.. Aap agar youtube chalate hai to aapne notice kiya hoga ki kuch youtube channel ka jo URL aesa hota hai jo yaad rakhne me aasan or channel ke naam se milta judta rhata hai.. jese youtube.com/HindiMeHelp.
YouTube Channel Custom URL Kaise Set Kare uski puri jaankari hindi me Hindi.Help
Chaliye Youtube Custom Channel URL ke bare me thoda detail me jaan lete hai –
Table of Contents [hide]
  • Channel Custom URL Kya Hai
  • Youtube Custom URL ke liye Kya Chaiye
  • Custom URL Kaise Set kare Channel ke liye
    • Custom URL Set karne ke liye
  • Youtube Custom URL Kaise Set Kare [Hindi Video]

Channel Custom URL Kya Hai

Youtube par jitni bhi channel hoti hai un sabka ek URL hota hai, jisko browser me dalne par wo channel khul jati hai. Ham jab Youtube Channel banate hai to uska ek URL hota hai par wo bhut bada hota hai jo yaad rakhna bhut muskil hota hai. Ham Apne Channel ke URL ko badal kar jo URL banate hai usko Custom URL khate hai.
Defult – www.youtube.com/channel/UCDYgnFXsPlQWxgRgtkwoR7A
Custom URL – www.youtube.com/HindiMeHelp

Youtube Custom URL ke liye Kya Chaiye

Phele direct hi iska option aa jata tha, par ab ye kuch bate hai jo puri hone par hi ham Custom URL set kar sakte hai.
  • Channel Good Stending me hona chaiye.. Matlab Channel par koi copyright stick nahi hona chaiye.
  • 100 Subscribers hona chaiye Channel par.
  • kam se kam 30 din purani hona chaiye Channel.
  • Channel par uska Photo upload hona chaiye jo uske Icon ka bhi kaam karta hai.
  • Channel Art bhi Upload hona jaruri hai.
Jab ye sari points pure hoge to aap channel ka Custom URL set kar sakte ho.
Aap apne Website ko Google+ Page Par Verify karke bhi Custom URL Set kar sakte ho. Jab Aap Qualify ho jayege to Custom URL set karne ka option aa jayega.

Custom URL Kaise Set kare Channel ke liye

Jab aap custom URL ke liye Qualify ho jaoge, To aap Apni Account ki Advanced setting me jaye. Aap jab Qualify ho jaoge to aapko Email bhi aayega or aapke Creator Studio Dashboard me bhi Notification aa jayega.
*EK baat ka Diyan rakhe, Custom URL ek baar set karne ke baad usko badla nahi ja sakta.. TO set karne se phele achi se check karle.

Custom URL Set karne ke liye

Step 1: Youtube Account me Login karne ke baad Advanced Account Setting me jaye
Step 2: AB Channel Setting me aapko ek option dikhega, Claim your custom URL. us par click kare.
custom url ke liye notification aayega youtube channel deshboard me
Step 3: ab aap Custom URL set karne ke page par phuch jayege
Step 4: Ab aap Apni Channel ka Custom URL Dekhege jiske liye aapki channel approve hui hai..
Aap usko badal nahi sakte.. Bas aap itna kar sakte ho ki usme kuch Sabd or number add kar sakte ho agar aap chaho to. Ye jo Custom URL Channel ke liye Approve hota hai wo – Channel Name, Website Name, Display Name me se koi ho sakta hai.
apna Custom URL Select karkle Change URL par click kare
Step 5: Box par tik ✔ kare “I agree to the Terms of Service” fir Change URL ki button par click kare.
Step 6: Ye jo URL rahega wo Google+ se bhi add rahega. Aapse ek bar or conform kiya jayega ki aap ye URL chate hai, uske liye Conform choice par click kare.
URL ko ek bar check karke conform Choice par click kare

Youtube Custom URL Kaise Set Kare [Hindi Video]

Friends Youtube Custom URL kya hai ye iska kya use hai ye sab aap jaan chuke ho.. agar youtube se sambandit koi bhi sabal ho to aap comment karke puch sakte ho..
Youtube ki or jaankari ke liye yaha click kare