Monday, 30 September 2019

YouTube Account ko Verify Kaise karte Hai in Hindi

Hello Friends, Me Phele bata chuka hu kaise Youtube se Paise  Kamaye Jate hai Video Upload karke or Kaise Video Upload karte hai Youtube Par. Youtube Google ki hi Searvice hai or youtube par Google ke baad sabse jada search hoti hai duniya bhar me, matlab agar kuch share karna hai duniye se to ye ek badiya platform hai.
Youtube Account Banane ke Baad Hamara sabse phela Kaam hota hai ki ham apni Youtube Channel ko sahi se set kare or jo uski settings hai unko sahi se apne hisab se set kare. Isme sabse phela jo kaam hai jiske bare me aaj ham is Post me dekhege, kaise Apni Youtube Channel ko Partner Verified kare or jaanege iske kya faide hai.
youtube parterner verifyed by hindi me help
Table of Contents [hide]
  • Kya Faide Hai Youtube Account ko Verify karne ke
  • Youtube Channel ko Verify Kaise Kare
  • Video – Kaise Youtube Account Partner Verify Kare

Kya Faide Hai Youtube Account ko Verify karne ke

Partner Verified – Hamara account Youtube ka partner ban jata hai, matlab hamari koi brand hai or hamara Youtube ke sath partnership hai.
Monetization – Agar aapko Youtube se paise kamana hai to aapko apne video par ads lagana padega (monetize karna padega). uske liye phele hamare account ko verify karna jaruri hai. Verify karne ke baad Apne Youtube Account ko Adsense account se connect karke monetization enable kar sakte hai. 
Longer videos – Agar aapka Youtube Account verify nahi hai to aap 15 minute se jada ka video upload nahi kar sakte. Verify karne ke baad aap youtube par lambha video bhi upload kar sate ho.
External annotations – Ye Youtube ka ek future hai isme ham apne video ke upar link add kar akte hai. par agar aapko external link (apne website ki link) add karna hai to phele verify karna hoga. kaise Annotation ka istaal karte hai iske bare me me aaye bataoga.
Paid content – Paid Contant me aap jo video upload karege usko sirf wo dekh payege jo aapko paise dege. is future ke bare me bhi ham aage jaanege.
Content ID appeals – Aap jo Video Upload karege agar usko koi copy karta hai to aap youtube ko report karke video ko delete karba sakte hai. agar koi 3 video copy karke upload karta hai to uski youtube account bhi delete ho jati hai. is liye kabhi bhi aap kisi or ka video upload naa kare..
Live streaming – Aap Youtube par apna Live Show bhi set kar sakte hai Verify karne ke baad.
Fan Funding – Is Future me jo Youtube par hame paise dega uske video dekhne par ads nahi aate. Kher iska India me to muje nahi lagta koi use hai 🙂

Youtube Channel ko Verify Kaise Kare

Account ko Activate karne ke liye kya karna chaliye jaante hai. Video Dekh
Sabse phele apne Youtube account me Sign in kare.
Ab upar kone me apni Image par click kare, fir Gear ke icon par click kare.
Apne youtube account ki setting me jaye
Ab aapke youtube ki setting ka page khulega. View additional features par click kare.
view additional futures par click kare apne account ko verify karne ke liye
Ab aap apne account ke Status and futures ke kection me phuch jayege. bha par aap dekh sakte hai Verify ki button hai. us par click kare.
Aap direct ye link bhi khol sakte hai –www.youtube.com/features
youtube account ko verify karne ke liye apne youtube account ke channel seaction me jaye fir enable ki button par click kare
Ab jo new page khulega.
apni country select kare.verify ki method select kare fir apna Mobile Number dale fir submit ki button par click kare
  1. Apni Country select kare.
  2. Verification ke liye koi ek tarika select kare, Call ya SMS. uspar Google se ek code aayega.
  3. Apna Mobile Number Dale. Mobile aapke pass hona chaiye q ki abhi uspar ek code aayega jo aapko abhi daalna hai.
  4. Submit ki button par click kare.
Ab new Page khulega usme aapko 6 number ka code dalna hai jo aapke mobile par aayega.
apna vierfy ka number dale fir sumbit ki button par click kare
Code Submit karne ke baad ek message show hoga. usme likha hoga ki aapka Account Verify ho chuka hai. 🙂
ye lijiye aapka youtube account ab verify ho chuka hai. ab aap youtube ke pure future ka laab utha skte hai

Video – Kaise Youtube Account Partner Verify Kare

Ab aap dekhe ki aapke Account ke sare futures enable (chalu) ho gaye hai.
Ye dekhiye ab aapke Account ke sare future enable ho jayege. unke saamne hare (green) button aa jayegi
To Ab aap jaan chuke ko kaise Youtube Channel ko Verify karke youtube ke pure futures ka faida utha sakte hai. Agar aapka koi Bhi Sabaal hai Youtube se sambandit to aap mujse jarur puche.
Internet se related bhi agar koi sabal hai to me aapki madad karne ki puri kosis karuga.