Monday, 30 September 2019

Pradhan Mantri Ko Shikayat Online Kaise Kare Tarika in Hindi

Hamari kai tarh ki sikayat hoti hai. kuchh aisi samsyaye hoti hai, jiska nivaran na hone ke karan direct Pradhan Mantri Shikayat Online karna hota hai. Agar aapke bhi kisi personal ya apne gram, shahar se judi kisi samsya ka samadhan prasasn nahi kar raha hai to, Iska ek hi rasta hai, ki aap pradhan mantri ko online sikayat kare.
PM complanet website aam janta ke liye hi banayi gayi hai. Sabhi ko pata hai kisi bhi problem ke solution me hamare dwara kari gayi sikayat ka samadhan prasasn kitani dhimi gati se karta hai. Kai jagah mene dekha hai or apna personal experience bata raha hu. Kisi bhi complant pe koi bhi adhikari turant kryevahi nahi karte. Chahe wo kisi sarkari yojana ke bare me ho ya apni personal problem ho. Baar baar unke office ke chakkar lagate rahte hai.
pradhan mantri sikayat online kaise kare
Sabhi log pm se milkar apni problemes batana chahte hai. Kisi bhi desh ke pm ke liye yah posible nahi ki wo apne desh ki prtyek janta se mil paye. But hamare desh ke prdhan mantri sabse alag hai. Bhale hi wo sabse na mil paye par kintu janta ki awaz un tak pauch jaye iski unhone suvidha di hai. Pradhan mantri se contact karne ki jaankari ek post ke jariye aapse share bhi kar chuka hu. Aaj ke time me koi bhi vyakti unko sikayat kar sakta hai. Sabse achhi baat pradhan mantri narendra modi se sikayt ka samdhan bhi turant prbhav se hota hai.

Pradhan Mantri Se Shikayat Online Kaise Karte Hai ?

Kisi bhi sikayat ko pm tak pahuchana bahut aasan hai. Govt ki ek Grievance website hai. Jisme ragister hoke apko ek account banan hota hai. Uske baad aap direct prdhan mantri ko sikayat kar sakte ho. But yaad rakhe farzi ya jhuti sikayat paye jaane par aapke upar kryevahi ho sakti hai. Aur aap kanuni dav pech me fas sakte ho.
In this post hum jis  pm shikayat portal ki baat kar rahe hai. Usse aap ek tarah se pm modi ko letter bhejne ka address bol sakte hai. Aisa is liye ki aapko is portal me ek patra ki tarah apni baat likhne ki suvidha milegi. Aapki baat pahle sambndhit adhikari tak pahuchai jati hai. Uske baad nivaran na hone par Adhikari ke khilaf govt khud action leti hai. Aur apki pm se sikayt online kari gayi ka nivaran hota hai. Chaliye ab apko iske process ke baare me batata hu.