Monday, 30 September 2019

Facebook Account Kaise Banaye | Create Facebook New Account in Hindi

Hello dosto ummid hai aap ache hoge. Aaj me aapko bataoga ki Facebook par account kaise banaye. Aaj ki tarik me agar kisi ki facebook par account nahi to iska matlab bo abhi bhi purane jamaane me ji raha hai.
Mera maanna hai ki kuch saalo me aesa hoga ki jiska account facebook par nahi hoga usko jivit hi nahi maana jayega 🙂
facebook par naya account registration kare

Facebook kya hai

Ye ek social network site hai. Is par ham apna account bana kar apne Dosto se jude rha sakte hai. Facebook site duniya me sabse phele number par hai. Facebook 2004 me bani thi. Or ek baat ye bilkul free hai. To chaliye jante hai ki is par account kaise banate hai.

Facebook Par Account Banane ke liye kya kare

Step 1: Sabse phele www.facebook.com par jao.
Facebook par jaaye fir Sign Up Form bhare
Step 2: Jo registration form diya hai us ko bhare
  • Apna naam
  • Email id Ya Mobile Number
  • Date of birth (Janm tithi)
  • Sari detail bharne ke baad continue par click kare
Step 3: Ab apni email id khole us par Facebook se ek email aaya hoga aapki id ko verify karne ke liye.
conformation link par click kare to aap facebook par redirect hoge.
Aapka Facebook account teyaar hai or aapko facebook chalu karna hai, or apni dosto or family se jude rhena hai. 🙂
Kuch bhi dikkat aarahi ho to comment karo, me apki madad jarur karuga.
Ye to Simple hamne sikha ki facebook par account kaise banaye ab ham aage sikhege ki, Facebook par page kaise banate hai or jaanege facebook se related bhut si jaankari. to abhi ke liye bas itna hi. milte hai agle post me jabtak apna khayal rake or Internet ke bareme sikhte rahe or koi bhi sabaal ho to yaha puche Sabaal Jabaab.
*Mene bhut logo ko dekha hai, wo Mobile number se fb acount banate hai, or galti se ussi number se dusre account bana lete hai jiske karan purana facebook account nahi khulta, agar aapki bhi ye samajya hai to uska samadhan yaha hai. Ek Number Se 2 Facebook Account ko Open karne Par Purani ID kaise Login Kare
Aapko ye jaankari kesi lagi comment ke jariye ye batana na bhile 🙂
Facebook ID ko Hack hone se kaise bachaye ye jankari bhi aapko hona bhut jaruri hai ..