Business ke liye Bank se Loan kaise le ? Sabka yahi question hoga. Banko me me chakkar lagate-lagate thak jate hai. Par koi bank paise dene ko teyar nahi hota. Aise me Dukan ke liye Loan lene ka Tarika kya hai ?
Income ke liye hum sabhi kuch na khuch kaam karte hai. Kuchh to job karte hai. Humme se kuchh logo ka business bhi hoga. Sabhi ki Financial status strong nahi hoti. Aur paise ke kami ke karan unko dukaan ya business band karna padta hai. Aise me Loan Kaise Le iski jaankari hona bahut jaruri hai.
Mostly log apna kaam aage badhana chahte hai. But paise na ho to kiya kare. Govrment Business Start karne ki nayi nayi Schemes Launch karti hai. Kiya in yojana se kisi jarurat mand ki kabhi madad mili hai. Almost bahut kam aise log milenge jinhe jarurat ke wqt bank se paisa mila ho.
Abhi kuch samye pahle PM Modi ji ne Pradhan Mantri Mudra Bank Loan Yojana launch ki thi. Usme kaha gaya tha koi bhi bank bina kisi garnter ke money help karegi. Customer ki garnty khud sarkar ki hai. Reality me aisa kuchh bhi nahi huaa.
Is yojana ke bare me bahut comment is website par aaye. ” Koi bhi bank loan nahi de raha, Sabhi bank garnty mang rahe hai, Agar aap income tax nahi bharte to aapko bank se paisa nahi mil sakta” Kya Income tax bharne wala Garib hota hai. Kahne ko Mudra Scheme garib ke liye hai. Asal me iska fayeda amir log hi utha rahe hai. Garib ki jholi me sirf gribi aur nirasha aati hai.