Facebook sabse jada use hone wali social Networking or me phele bata chuka hu kaise Facebook par account banate hai or kaise Facebook Par Page banate hai.. inke aalawa bhi me bhut si tips share ki hai jo aap yaha dekh sakte hai.
Aaj Ham dekhege Facebook Par Group Kaise banate hai or Group se sambandit kuch bate bhi janege, to chaliye
Table of Contents [hide]
- Facebook Group Kya Hai ?
- Facebook Open, Close, Secret Group me Anter
- Facebook Page or Facebook Group Me Kya Antar hai
- Facebook Group Kaise Banaye
- Facebook Group Delete kaise kare
Facebook Group Kya Hai ?
Facebook Group ek Page hi hota hai, jisme log join ho kar ek community banate hai.. bha par Group ke har member Post kar sakte hai. Kisi topic kar discussion kar sakte hai. Group me jin logo ka ek jesa interest hai wo join kar sakte hai. Group me Page se jo sabse alag hai wo ye ki isme group ka koi bhi member post kar sakta hai.
Ye Kuch Topics hai jinpar ham Facebook Group Bana sakte hai
- Kisi bhi Topic Par Bana sakte hai.
- Books ke liye bana sakte hai, jisme uske bare me baat kar sate hai.
- Business ke liye bana sakte hai
- Apne Local Area ke liye bana sakte hai
- Help ke liye bana sakte hai, jaha sab ek dusre ki help kar sake
inke aalawa bhi koi bhi topic ho, aap uske liye group bana sakte hai.. Muje ummid hai aapbhi jarur kisi na kisi Group me add hoga, ya kisi ne aapko add kiya hoga.
Facebook Open, Close, Secret Group me Anter
Open | Closed | Secret | |
Kon join kr sakta hai? | Koi bhi Join kae sakta hai, group ka koi bhi member add kar sakta hai kisi ko bhi | Koi bhi join karne ke liye kha sakta hai. Koi bhi add kar sakta hai jo group me hai | Koi bhi join ho sakta hai. Par sirf jab koi usko add kare |
Group ka naam kon dekh sakta hai. | Koi bhi | Koi bhi | Sirf Group ke member |
Group ki post kon dekh sakta hai. | Koi bhi | Sirf Group Member | Sirf Group Member |
Group ko Search kar sate hai. | Koi bhi | Koi bhi | Sirf Group Member |
Group me chal rahi halchal kon dekh sakta hai. (Likes, Posts apne Home page par) | Koi Bhi | Koi Bhi | Sirf Group Member |
Facebook Page or Facebook Group Me Kya Antar hai
- Facebook Page kisi famus chij ke liye hota hai, jisko log follow karte hai, jabki Facebook Group me sabhi log Post kar sakte hai or kisi topic par discuss kar sakte hai.
- Page ko Privte nahi bana sakte, uski jo post hai wo sab dekh sakte hai, jabki Facebook Group ko ham Private bhi bana sakte hai.
- Page par jo Page ka Admin hai sirf wo hi post daal sakta hai, Group me jitne bhi join hai sab kar sakte hai.
- Agar koi Brand hai to uske liye Page banaya jada hai, Par agar kisi tipoc ke bare me baat karni ho to uske liye Group badiya hai.