Monday, 30 September 2019

Ek Number Se 2 Facebook Account ko Open karne Par Purani ID kaise Login Kare

Hello Friends, Ye Post Facebook ke New FB Users ke liye hai jinhone Facebook abhi abhi use karna start kiya hai ya facebook ki jada jankari nahi hai, to aapko jada tension lene ki jarurat nahi hai.. Me Phele bhi kuch post share kar chuka hu facebook ke upar jese Fb ID block q hoti hai or kaise bachayeFB Account Hack kaise hota hai blog hone se…
Ek Number Se 2 Facebook Account ko Open karne Par Purani ID kaise Login Kare
Image Source: Lifehacker.com
Mere Pass bhut logo ke message, Comment ke jariye ye sabal aaya hai – hamne apne Mobile Number se apni facebook ID banai, fir ussi number se dusri facebook ID banali.. par ab ham jab ID or Password dalte hai to New ID open hoti hai par Purani ID kaise open kare..
Is Problem ka Solution jane uske phele ham jan lete hai facebook account banta kaise hai, or hamari kis galti ki baja se ye dikkat aati hai..
Facebook account kaise banaye uski jankari yaha hai, jisme aapko ek EMail ID Chaiye ya fir Mobile Number.
Ab bhut log Mobile number se apna account bana lete hai facebook par.. to ab jab bhi unko account open karna hai to wo apna mobile number or password daal kar apni FB ID open kar lete hai..
Ab Problem ye ho jati hai ki ussi mobile number se ek dusri ID banane par jo purani ID me number add hota hai wo automatic remove ho jata hai, q ki ek hi number 2 id me add nahi kar sakte.. fir ham jab apna mobile number dalte hai or password dalte hai to purani ID nahi khulti q ki usme se wo number remove ho chuka hai or new banai gai ID hi open hoti hai..
mujse mere bhut se dosto ko ye problem hui or sabhi mujse puchte hai or janna chate hai:
  • mera fb account open nahi ho raha hai.
  • mera facebook nahi khul raha.
  • facebook chalu karo mujse nahi ho raha.
  • purana facebook account kaise open kare.
To muje pata chala ye ek bhut badi problem hai, jo bhut logo ko hoti hai, isliye mene is Problem se nipatne ke 2 tarike pata kare:
  1. Apni purani ID ka username or password daal kar ID open kare
  2. Apni ID me EMail ID bhi add karke rakhe.. (ye problem aane ke phele ka solution hai)

1 Number se 2 Facebook Account – Purani ID kaise open kare

Agar aapne ek Mobile number se koi Facebook ID banai or galti se ussi number se dusri ID banadi hai to jo phele fb ID hai usme se aapka number remove ho gaya hoga.. Ab agar aap apna Mobile number or password dalege account ko open karne ke liye to aapka jo new facebook account hai sirf wo open hoga to ab purane account ko kaise open kare.. chaliye uski process jaan lete hai..
Step 1: Sabse phele aap apni purani Account ki Profile ko kisi bhi Browser me open kare (Login ki jarurat nahi hai)..
Step 2: Ab Browser ka jo address bar hai usme aapki profile ki link hogi.. kuch is Prakar –
facebook id ka username kaise pata kare
jo aapki profile ki link hai wo 2 trha ki ho sakti hai  –
  • Agar aapne FB username set kiya hai to kuch aesa rahega
    • https://www.facebook.com/R.N.Mewada
  • Agar username set nahi kiya hai to kuch number ka username rahega.
    • https://www.facebook.com/100001348796048
jo ye example profile link hai isme jo username hai wo 100001348796048 or R.N.Mewada hai, aap inko copy karle.
Step 3: ab karna ye hai, Jab login karte hai to EMail/Mobile Number ki jagha aapko username dalna hai us id ka password dalna hai, ID ko open karne ke liye.. fir ID open ho jayegi.
Account open hone ke baad sabse phele Apna EMail Address ya apna koi dusra Mobile Number add jarur karle.

EMail ID kaise add kare Facebook account me

Step 1: Apne Facebook me login karke setting >> General >> Email par jaye. Image me dekhe kaha kaise jana hai ya fir yaha click karke direct bhi ja sakte hai.
apni facebook id me email address add kare
Step 2: ab Add another email address or mobile ki link par click kare
apna email daal kar ok kare
jo popup khulega usme apna email ID dale fir Add ki button par click kare..
Step 3: ab Aapke Email Account par ek mail aayega facebook se.. usme jo link hai uspar click karke conform jarur karna hai..
Is trah Email ID add kar sakte hai Facebook account me.. ab agar aap number remove bhi kar dete hai fir bhi aap login kar sakte hai apne facebook account me apni email id or password ki madad se.
Agar aapko fir bhi kahi koi dikkat aa rahi hai to aap comment karke bata sakte hai, or aapko agar is jankari se help mili ho to Thanks khana na bhule 🙂
Facebook ki ye kuch or Jankari jo aapko pata hona chaiye –
  • Facebook par kisi ko Block or UnBLock kaise karte hai
  • Facebook Par Friends Request ko band kaise karte hai.
  • Apne Friends ki list ko kaise chupaye
  • Apni Profile Photo kaise set kare
Facebook ki or jankari ke liye yaha click kare..